Top 12 Hazrat Umar Quotes in Urdu (Part 1) – With HD Photos

Is post mein hum aap ke liye laaye hain Hazrat Umar Quotes in Urdu zuban mein.

Hazrat Umar musalmano ke doosre khaleefa rashid, Mohammed Sallallahu Alaihi Wasallam ke sasur aur tareekhe islam ke aham tareen shakhsiyat mein se ek hain. Umar Bin Khattab ashra mubashshira mein se hain inka shumar ulma wo zahideen sahaba mein hota hai. Ye ek ba azmat, insaaf pasand aur bahut hi aadil hukmaran they, inki adalat mein muslim aur gair muslim dono ko barabar insaaf mila karta tha.

Is post mein Inhi ke kahe huye kuch khaas aqwal aap ke samne pesh kar rahe hain, ummeed hai aap ko zaroor pasand ayeinge.

To chaliye dekhte hain ki aap Hazrat Umar ke qeemti aqwal se kya seekh sakte hain.

Top 12 Hazrat Umar Quotes in Urdu (Part 1)

Quote: #1

Hazrat Umar Quotes in Urdu

Shubha ke sath kamana maangne se behtar hai.
—Hazrat Umar

Quote: #2

Hazrat Umar Ke Aqwal e Zareen

Buzurg banne se pehle ilm hasil karo.
—Hazrat Umar

Quote: #3

Hazrat Omar Ke Aqwal e Zareen

Jo aadmi khud ko aalim kahe wo jahil hai aur jo khud ko jannati kahe wo jahannami hai.
—Hazrat Umar

Quote: #4

Hazrat Umar Quotes in Urdu

Salam karna, majlis mein doosron ke liye jagah chhodna aur mukhaatib ko behtareen naam se pukarna mohabbat badhata hai.
—Hazrat Umar

Quote: #5

Hazrat Omar Ke Aqwal

Khushu wo khuzoo ka talluq dil se hai na ke zaahiri haalat se.
—Hazrat Umar

Quote: #6

Hazrat Omar Ke Aqwal e Zareen

Bewaqoof ki dosti se ahtaraz laazim hai kyun ke agar bhalaayi bhi karna chahta hai to bhi usse buraayi sarzad ho jaati hai.
—Hazrat Umar

Quote: #7

Hazrat Omar Urdu Quotes

Khuda se uske wahi bande darte hain jo uski azmat ka ilm rakhte hain.
—Hazrat Umar

Quote: #8

Hazrat Omar Quotes in Urdu

Jo riyasat mujrimo par rahem karti hai wahan ke begunah log badi berahmi se marte hain.
—Hazrat Umar

Quote: #9

Hazrat Umar Quotes in Urdu

Kisi shakhs ke akhlaq par bharosa na karo jab tak ke gusse ke waqt usey aazma na lo.
—Hazrat Umar

Quote: #10

Hazrat Umar Quote in Urdu

Kam khane mein sehat hai, kam bolne mein samajhdaari hai aur kam sona ibadat hai.
—Hazrat Umar

Quote: #11

Hazrat Umar Quotes in Urdu

Mujhey us din se khauf aata hai jab kuffar apne baatil par hone mein fakhr mehsoos karne lagein aur musalman apne imaan par sharm mehsoos karne lagein.
—Hazrat Umar

Quote: #12

Hazrat Umar Quotes in Urdu

Jo shakhs apna raaz chhupata hai wo apna ikhtiyaar apne haath mein rakhta hai.
—Hazrat Umar

Watch Hazrat Umar Quotes in Urdu (Part 1)

To ye they Benjamin Franklin ke qeemti aqwal – Hazrat Umar Quotes in Urdu (Part 1).

Humein ummeed hai ki aapko ye article pasand aaya hoga. Baraye meharbani is post ko apne qareebi logon ke sath bhi zaroor share karein.

Leave a Reply