Top 15 Hazrat Ali Quotes in Urdu (Part 2) – With HD Photos

Is post mein hum aap ke liye laaye hain Hazrat Ali Quotes in Urdu zuban mein.

Hazrat Ali wo mashhoor sahabi e rasool hain jo hamare nabi ke chachazad bhai bhi hain aur damaad bhi. Hamare nabi ne Hazrat Ali ke baare mein farmaya, main ilm ka shaher hoon to Ali uska darwaza hain. Aap ke is qaul se ye baat saaf pata chalti hai ki Allah ne Hazrat Ali ko bahut ilm ataa kiya tha. Inki danayi ka andaza to inke bole huey qaul ko dekh kar hi lag jaata hai. Inki kahi hui har ek baat hikmat aur danayi se bhari hoti hai. Is post mein Inhi ke kahe huye kuch khaas aqwal aap ke samne pesh kar rahe hain, ummid hai aap ko zaroor pasand ayenge.

Chaliye dekhte hain ki aap Hazrat Ali ke qeemti aqwal se kya seekh sakte hain.

Hazrat Ali Quotes in Urdu (Part 2)

Quote: #16

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Darr nakaami se mila hua hai.
—Hazrat Ali

Quote: #17

Hazrat Ali Ke Aqwal e Zareen

Jise taqdeer par yaqeen hota hai wo apne ooper nazil hone wali musibaton se nahi ghabrata.
—Hazrat Ali

Quote: #18

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Insaan wahid aisi makhlooq hai jis ka zaher alfaz mein hota hai.
—Hazrat Ali

Quote: #19

Hazrat Ali Ke Aqwal e Zareen

Lafz insaan ke gulam hote hain magar sirf bolne se pehle tak, bolne ke baad insaan apne alfaz ka gulam ban jaata hai.
—Hazrat Ali

Quote: #20

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Khoobsoorti ek neymat hai lekin sab se khooboorat aapki zuban hai, chahe to dil jeet le, chahe to dil tod de.
—Hazrat Ali

Quote: #21

Hazrat Ali Ke Aqwal e Zareen

Zindagi jeene ke do hi raaste hain, bhool jao unhein jin ko tum maaf nahi kar sakte aur maaf kar do unhein jinhein bhool nahi sakte.
—Hazrat Ali

Quote: #22

Hazrat Ali Ke Aqwal

Insaan ki maut usse poshida hai aur uski khwahishat mustaqil usey dhoka de rahi hai.
—Hazrat Ali

Quote: #23

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Agar zindagi ko hamesha khushiyon ke sath guzarna chahte ho to ghamzada logon ke gham suna karo kabhi dukhi nahi rahoge.
—Hazrat Ali

Quote: #24

Hazrat Ali Ke Aqwal

Mujhey afsos is baat par hota hai ke insaan ashraful makhlooqat hai phir bhi insaano ke jaagne se pehle parinde jaag jaate hain.
—Hazrat Ali

Quote: #25

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Tumhara badtareen dost wo hai jo tumhein galat baat par raazi kare.
—Hazrat Ali

Quote: #26

Hazrat Ali Ka Qaul

Jab koi dost tumhein apna raaz bataye to ye samajh lena ke wo apni izzat tumhein amanat deta hai ismein kabhi bhi khayanat mat karna.
—Hazrat Ali

Quote: #27

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Jo tumhein khushi mein yaad aaye samjho tum usse mohabbat karte ho aur jo tumhein gham mein yaad aaye to samjho wo tum se mohabbat karta hai.
—Hazrat Ali

Quote: #28

Hazrat Ali Ke Aqwal e Zareen

Insaan ko achchi soch pe wo inaam milta hai jo usey achche amaal pe bhi nahi milta kyun ke soch mein dikhawa nahi hota.
—Hazrat Ali

Quote: #29

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Zillat uthane se behtar hai ke takleef uthao.
—Hazrat Ali

Quote: #30

Hazrat Ali Ke Aqwal

Khwahishein baadshahon ko ghulam bana deti hain, magar sabr ghulamon ko baadshah bana deta hai.
—Hazrat Ali

Watch Hazrat Ali Quotes in Urdu (Part 2)


To ye they Hazrat Ali ke qeemti aqwal – Hazrat Ali Quotes in Urdu (Part 2).

Humein ummeed hai ki aapko ye article pasand aaya hoga. Baraye meharbani is post ko apne qareebi logon ke sath bhi zaroor share karein.

Leave a Reply