Top 30 Maulana Rumi Quotes in Urdu (Part 1) – With HD Photos

Is post mein hum aap ke liye laaye hain Maulana Rumi Quotes in Urdu zuban mein.

Maulana Jalaluddin Rumi ek aise sufi buzurg guzre hain jinki pehchan kisi tarruf ki mohtaj nahi. Duniya mein shayad hi koi aisa hoga jis ne inka naam na suna hoga. Inka shumar duniya ke naamwar sufi burzurg mein hota hai. Islam ke liye inki khidmat na qabile faramosh hain. Inki kahi hui har ek baat motiyon se bhi zyada qeemti hoti hain. Is post mein Inhi ke kahe huye kuch khaas aqwal aap ke samne pesh kar rahe hain.

Chaliye dekhte hain ki aap Maulana Rumi ke qeemti aqwal se kya seekh sakte hain.

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Quote: #1

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Wo cheez jo hamari zarurat se zyada ho zaher hai. Phir chahe taqat, daulat, bhook, lalach, anaa, susti, mohabbat, umang, nafrat ho ya zarurat se zyada kuch bhi.
—Maulana Rumi

Quote: #2

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Tumhari asal hasti tumhari soch hai, baaqi to sirf haddiyan aur khali gosht hai.
—Maulana Rumi

Quote: #3

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Darweshon ke elawa duniya ke baaqi log bachchon ki manind hain jo dunya ke khel mein magan hain.
—Maulana Rumi

Quote: #4

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Jo dard tum mahsoos karte ho wo paighamat hain, unhein gaur se suno.
—Maulana Rumi

Quote: #5

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Khamoshi samandar hai aur guftagu naher hai, tujhey samandar talash kar raha hai tu naher ki talash na kar.
—Maulana Rumi

Quote: #6

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Apne dil ko us waqt tak todte raho jab tak ye kushada na ho jaye.
—Maulana Rumi

Quote: #7

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Maa baap ke sath aap ka sulook aisi kahani hai jo likhte aap hain lekin aap ki aulad aap ko padh kar sunati hai.
—Maulana Rumi

Quote: #8

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Ghamgeen na ho, jo bhi tu khota hai usey kisi na kisi aur neymat ki surat wapas pa leta hai.
—Maulana Rumi

Quote: #9

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Dil ek aayina hai, agar wo badi se paak hai to ismein khuda bhi nazar aa sakta hai.
—Maulana Rumi

Quote: #10

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Insaan apne andar chupi hui nafsani khwahish ki wajah se bure logon se maghloob ho jaata hai.
—Maulana Rumi

Quote: #11

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Is dunya mein koi khazana saanp ke bagair, koi phool kaante ke bagair aur koi khushi gham ke bagair nahi hai.
—Maulana Rumi

Quote: #12

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Pur sukoon wo hai, jis ko kam ya zyada ki fikr nahi.
—Maulana Rumi

Quote: #13

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Jab dunya aap ko apne ghutnon par dhakel deti hai, to aap namaz ke liye bahtareen maqam par hote hain.
—Maulana Rumi

Quote: #14

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Akela rahna buri sohbat mein rahne se bahtar hai.
—Maulana Rumi

Quote: #15

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Beshak khwahish ka chhodna kadwahat paida karta hai, lekin ye kadwahat Allah ki duri ki kadwahat se bahtar hai.
—Maulana Rumi

Quote: #16

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Agar mera ilm mujhey insaan se mohabbat karna nahi sikhata to ek jaahil mujh se hazar darza bahtar hai.
—Maulana Rumi

Quote: #17

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Insaan ke gusse ki wajah uska guroor hai.
—Maulana Rumi

Quote: #18

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Ye dunya tumhari jaano ka qaid khana hai. Khabardar! Is jaanib daudo jo khuda ka maidan hai, isliye ke ye aalam mahdood aur Allah lamahdood hai.
—Maulana Rumi

Quote: #19

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Dost wo hai jo tumhein us waqt pasand kare jab tum kuch bhi na ho.
—Maulana Rumi

Quote: #20

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Main ne bahut se insaan dekhein hain jin ke badan par libaas nahi hota aur bahut se libaas dekhein hain jin ke andar insaan nahi hota.
—Maulana Rumi

Quote: #21

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Gham se khali ho jaao, uske baare mein socho jis ne khayal ki takhleeq ki.
—Maulana Rumi

Quote: #22

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Jo kuch bhi tum sochte ho fana hai maano, wo jo tumhari soch mein nahi usey khuda jaano.
—Maulana Rumi

Quote: #23

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Sabr khushi ki kunji hai.
—Maulana Rumi

Quote: #24

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Insaan ko khuda ne behtareen saanche mein dhaal kar paida kiya hai, jannati aur jahannami wo baad mein banta hai.
—Maulana Rumi

Quote: #25

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Sirf paisa hi rizq nahi balke aqal, adab, chehra, aulad aur ilm bhi rizq hain aur usse badi baat ye ke behtareen dost bhi rizq mein shamil hai.
—Maulana Rumi

Quote: #26

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Jahan paani girta hai wahan sabza ugta hai, jahan aansu girte hain wahan rehmat utarti hai.
—Maulana Rumi

Quote: #27

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Jis ki nazar sababul asbab par hoti hai wo sabab se dil nahi lagata.
—Maulana Rumi

Quote: #28

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Tumhari rooh ke liye isse badh kar koi marz nahi ke tum khud ko kaamil samajhne lago.
—Maulana Rumi

Quote: #29

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Danayi ka talluq baalon ki safedi se nahi, aqal aur tajurbe se hai. Dil siyah ho to daadhi ke safed baalon ki kya wuqat.
—Maulana Rumi

Quote: #30

Maulana Rumi Quotes in Urdu

Jab insaan ki aankhon se aansu bahte hain to us par rab ki rehmat barasti hai.
—Maulana Rumi

Watch Maulana Rumi Quotes in Urdu

To ye they Maulana Rumi ke qeemti aqwal – Maulana Rumi Quotes in Urdu.

Humein ummeed hai ki aapko ye article pasand aaya hoga. Baraye meharbani is post ko apne qareebi logon ke sath bhi zaroor share karein.

Leave a Reply