21 Most Valuable Woman Quotes in Urdu- Part 1

Is post mein hum aap ke liye laaye hain Woman Quotes in Urdu zuban mein.

Aurat Allah ki ek khaas makhlooq hai jiski fitrat ke baare mein jaanna har mard ke liye zaroori hai. Wo kya sochti hai, kis cheez se khush hoti hai, kis cheez se naaraz hoti hai, uski nafisyat kisi bhi maamle mein kya hoti hai. In sab ka ilm hona har mard ke liye zaroori hai taaki wo usey achche se samajh sake aur uske sath pursukoon zindagi guzarne mein kamyab ho sakey. Hikmat se bhare aise hi kuch khaas aqwal e zareen auraton ke talluq se hum aap ke samne pesh kar rahe hain.

Chaliye dekhte hain ki aap in qeemti aqwal se kya seekh sakte hain.

Most Valuable Woman Quotes in Urdu (Part 1)

Quote: #1

Most Valuable Woman Quotes in Urdu

Aurat ke chehre par tamam rang mard ki wajah se aate hain chahe wo khushi ke hon ya gham ke.

Quote: #2

Most Valuable Woman Quotes in Urdu

Aurat mohabbat ko bhool jaati hai magar di gayi izzat ko kabhi nahi bhoolti.

Quote: #3

Most Valuable Woman Quotes in Urdu

Aurat jab zid par utar aati hai to wo kisi ka nafa nuqsan nahi sochti…. khud apna bhi nahi.

Quote: #4

Most Valuable Woman Quotes in Urdu

Jaise mard ko zuban daraz biwi pasand nahi bilkul waise hi aurat ko buland awaz aur beizzati karne wala mard pasand nahi.

Quote: #5

Most Valuable Woman Quotes in Urdu

Aurat koi bhi ho rishton mein milawat pasand nahi karti wo jisse bhi pyar karti hai uski harkat ko hamesha nazron mein rakhti hai, ladti hai jhagadti hai apne hone ka ehsaas dilati hai magar sharakat kabhi bardasht nahi karti.

Quote: #6

Most Valuable Woman Quotes in Urdu

Biwi kabhi bhi apne khawind ko nahi sunti lekin jab wo so raha hota hai to usey sunti bhi hai aur mehsoos bhi karti hai.

Quote: #7

Most Valuable Woman Quotes in Urdu

Aurat ki barbadi usi waqt shuru ho jaati hai jab uske husn ki taareef ek ghair mard kar raha ho aur wo kam aqal ispe khush ho rahi ho.

Quote: #8

Most Valuable Woman Quotes in Urdu

Nek seerat biwi apne shauhar ko duniya ka sab se achcha aur khoobsurat mard maanti hai.

Quote: #9

Most Valuable Woman Quotes in Urdu

Betiyan khelte khelte badi ho jaati hain pata nahi chalta kab unka khel khatam hua aur naseeb ka khel shuru hua.

Quote: #10

Most Valuable Woman Quotes in Urdu

Mard ka imtehan aurat se hai aur aurat ka imtehan paise se hota hai.

Quote: #11

Most Valuable Woman Quotes in Urdu

Us aurat ke dili sukoon ka andaza koi nahi laga sakta jiski pehli aur akhri mohabbat uska shauhar ho.

Quote: #12

Most Valuable Woman Quotes in Urdu

Aurat khud bahut badi taaqat hai, itni badi ke mard paida karti hai.

Quote: #13

Most Valuable Woman Quotes in Urdu

Aurat ke aansu uski takleef mein itne nahi nikalte jitne aansu wo alfaz dete hain jis mein uski tauheen ki gayi ho.

Quote: #14

Most Valuable Woman Quotes in Urdu

Aurat ki ek khaslat ye bhi hai ke wo aksar samjhane se nahi samajhti, samjhana chhod dene se samajh jaati hai.

Quote: #15

Most Valuable Woman Quotes in Urdu

Kisi ki beti ki zindagi kharab karna ek qarz hai jo ek na ek din aapki beti ko apni zindagi se ada karna padega.

Quote: #16

Most Valuable Woman Quotes in Urdu

Biwi mom ki tarah narm fitrat wali hoti hai, jis saanche mein dhaalna chaho dhal jayegi bashart ye ke shauhar narmi ka bartao kare.

Quote: #17

Most Valuable Woman Quotes in Urdu

Aurat ki badsoorti ye hai ke uski khoobsoorti ko har koi dekhe.

Quote: #18

Most Valuable Woman Quotes in Urdu

Aurat ki shokhiyan, sharartein, manmaniyan aur ghair zimmedariyan maa baap ke ghar hoti hain, sasural mein aurat ki tarbiyat aur sabr ka imtehan hota hai.

Quote: #19

Most Valuable Woman Quotes in Urdu

Aurat agar nafrat karne par aa jaye to agle ko sharminda karke chhodti hai.

Quote: #20

Most Valuable Woman Quotes in Urdu

Aurat aksar apne dil ke mashware par amal karti hai lehaza zyada ghalti karti hai.

Quote: #21

Most Valuable Woman Quotes in Urdu

Mard aurat par us waqt pabandi lagata hai jab khud ko kamzor samajhta hai.

Watch Most Valuable Woman Quotes in Urdu (Part 1)

To ye they aurat se jude qeemti aqwal – Woman Quotes in Urdu (Part 1).

Humein ummeed hai ki aapko ye article pasand aaya hoga. Baraye meharbani is post ko apne qareebi logon ke sath bhi zaroor share karein.

Leave a Reply