Top 12 Benjamin Franklin Quotes in Urdu (Part 2)

Is post mein hum aap ke liye laaye hain Benjamin Franklin Quotes in Urdu zuban mein.

Benjamin Franklin apne waqt ke ek scientist, businessman, politician aur writer they. America ki jange aazadi mein inka kirdar bahut aham raha hai. Lekin aaj jo duniya inko jaanti hai wo inki kahi hui baatein hain. Inki likhi hui auto biography duniya ki ahem tareen kitabon mein gini jaati hai. Inki kahi hui baatein hikmat aur daanayi se bhari hoti hain jise poori duniya ke log bahut pasand karte hain. Is post mein Inhi ke kahe huye kuch khaas aqwal aap ke samne pesh kar rahe hain.

Chaliye dekhte hain ki aap Benjamin Franklin ke qeemti aqwal se kya seekh sakte hain.

Best 12 Benjamin Franklin Quotes in Urdu (Part 2)

Quote: #21

Benjamin Franklin Quote in Urdu

Khuda uski madad karta hai jo apni madad aap karta hai.
—Benjamin Franklin

Quote: #22

Benjamin Franklin Quote in Urdu

Aqalmand logon ko mashware ki zaroorat nahi hoti aur bewaqoof log usey qubool nahi karte.
—Benjamin Franklin

Quote: #23

Benjamin Franklin Quote in Urdu

Mehnat khush qismati ki maa hai.
—Benjamin Franklin

Quote: #24

Benjamin Franklin Quote in Urdu

Qarz dene wale ki yaaddasht qarz lene wale ki yaaddasht se behtar hoti hai.
—Benjamin Franklin

Quote: #25

Benjamin Franklin Quote in Urdu

Achcha karna achcha kehne se behtar hai.
—Benjamin Franklin

Quote: #26

Benjamin Franklin Quote in Urdu

20 saal ki umr mein insaan apni marzi ke mutabiq chalta hai, tees saal mein apne dimag se aur chalis saal mein apne tajurbe se.
—Benjamin Franklin

Quote: #27

Benjamin Franklin Quote in Urdu

Chhote chhote kharchon se hoshiyar raho kyun ke ek chhota sa surakh bhi bade se bade jahaz ko duba sakta hai.
—Benjamin Franklin

Quote: #28

Benjamin Franklin Quote in Urdu

Thakawat sab se behtareen takiya hai.
—Benjamin Franklin

Quote: #29

Benjamin Franklin Quote in Urdu

Aap ruk sakte hain lekin waqt aap ke liye nahi rukta, guzra hua waqt kabhi laut kar nahi aata.
—Benjamin Franklin

Quote: #30

Benjamin Franklin Quote in Urdu

Sab se behtareen fayda ilm mein sarmayakaari se milta hai.
—Benjamin Franklin

Quote: #31

Benjamin Franklin Quote in Urdu

Zindagi mein afsosnaak baat ye hai ke ham bahut jald bade ho jaate hain lekin samajhdar der se hote hain.
—Benjamin Franklin

Quote: #32

Benjamin Franklin Quote in Urdu

Itminaan gareebon ko ameer banata hai aur adm itminaan ameer ko gareeb bana deta hai.
—Benjamin Franklin

Watch Benjamin Franklin Quotes in Urdu (Part 2)

To ye they Benjamin Franklin ke qeemti aqwal – Benjamin Franklin Quotes in Urdu (Part 2).

Humein ummeed hai ki aapko ye article pasand aaya hoga. Baraye meharbani is post ko apne qareebi logon ke sath bhi zaroor share karein.

Leave a Reply