Top 15 Hazrat Ali Quotes in Urdu (Part 1) – With HD Photos

Is post mein hum aap ke liye laaye hain Hazrat Ali Quotes in Urdu zuban mein.

Hazrat Ali wo mashhoor sahabi e rasool hain jo hamare nabi ke chachazad bhai bhi hain aur damaad bhi. Hamare nabi ne Hazrat Ali ke baare mein farmaya, main ilm ka shahar hoon to Ali uska darwaza hain. Aap ke is qaul se ye baat saaf pata chalti hai ki Allah ne Hazrat Ali ko bahut ilm ataa kiya tha. Inki danayi ka andaza to inke bole huey qaul ko dekh kar hi lag jaata hai. Inki kahi hui har ek baat hikmat aur danayi se bhari hoti hai. Is post mein hum Inhi ke kahe huye kuch khaas aqwal aap ke samne pesh kar rahe hain, ummid hai aap ko zaroor pasand ayenge.

Chaliye dekhte hain ki aap Hazrat Ali ke qeemti aqwal se kya seekh sakte hain.

Hazrat Ali Quotes in Urdu (Part 1)

Quote: #1

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Agar tum us waqt muskura sakte ho jab tum poori tarah toot chuke ho to yaqeen jaano duniya mein tumhein kabhi koi nahi tod sakta.
—Hazrat Ali

Quote: #2

Hazrat Ali Ke Aqwal e Zareen

Kabhi bhi kaamyabi ko dimag mein aur nakami ko dil mein jagah na dena kyun ke kamyabi dimag mein takabbur aur nakami dil mein maayusi paida kar deti hai.
—Hazrat Ali

Quote: #3

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Subha ki neend insaan ke iradon ko kamzor karti hai, manzilon ko haasil karne wale kabhi der tak soya nahi karte.
—Hazrat Ali

Quote: #4

Hazrat Ali Ke Aqwal e Zareen

Itne khushk na bano ke tod diye jaao aur itne narm na bano ke nichod diye jaao.
—Hazrat Ali

Quote: #5

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Sabr ki do sooratein hain jo na pasand ho usey bardasht karna aur jo pasand ho uska intezar karna.
—Hazrat Ali

Quote: #6

Hazrat Ali Ke Aqwal e Zareen

Ye duniya bhi kitni ajeeb hai, imandar ko bewaqoof, beiman ko aqalmand aur behaya ko khoobsurat kehti hai.
—Hazrat Ali

Quote: #7

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Saari duniya ke saare log tujhey apne fayde ke liye chahte hain, sirf tera rab hi hai jo tujhey tere fayde ke liye chahta hai.
—Hazrat Ali

Quote: #8

Hazrat Ali Ke Aqwal e Zareen

Jab kabhi tumhein apne rizq mein kami nazar aane lage to kuch maal Allah ko dekar Allah ke sath tijarat kar liya karo.
—Hazrat Ali

Quote: #9

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Tum gulab ka phool ban jaao kyun ke ye phool uske hathon mein bhi khushboo chhod jaata hai jo isey masal kar phenk deta hai.
—Hazrat Ali

Quote: #10

Hazrat Ali Ke Aqwal e Zareen

Logon ko usi tarah maaf karo jaise tum khuda se ummeed rakhte ho ke wo tumhein maaf kar dega.
—Hazrat Ali

Quote: #11

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Apno ko hamesha apne hone ka ahsaas dilao warna waqt aap ke apno ko aap ke baghair jeena sikha dega.
—Hazrat Ali

Quote: #12

Hazrat Ali Ke Aqwal e Zareen

Logon se yaad na karne ka shikwa mat karo kyun ke jo insaan apne rab ko bhool sakta hai wo sab ko bhool sakta hai.
—Hazrat Ali

Quote: #13

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Jis ne tujhey tere aib bataye agar tujhey aqal ho to beshak usne tujh par ehsaan ki inteha kar di.
—Hazrat Ali

Quote: #14

Hazrat Ali Ke Aqwal e Zareen

Kaynaat ki sab se mehngi cheez ehsaas hai jo duniya ke har insaan ke pass nahi hota.
—Hazrat Ali

Quote: #15

Hazrat Ali Quotes in Urdu

Hazaar galtiyon ke bawajood bhi aap apne aap se pyar karte ho to phir kyun kisi ki ek ghalti pe usse itni nafrat karte ho.
—Hazrat Ali

Watch Hazrat Ali Quotes in Urdu (Part 1)

To ye they Hazrat Ali ke qeemti aqwal – Hazrat Ali Quotes in Urdu (Part 1).

Humein ummeed hai ki aapko ye article pasand aaya hoga. Baraye meharbani is post ko apne qareebi logon ke sath bhi zaroor share karein.

Leave a Reply