Top 13 Hazrat Umar Quotes in Urdu (Part 2) – With HD Photos

Is post mein hum aap ke liye laaye hain Hazrat Umar Quotes in Urdu zuban mein.

Hazrat Umar musalmano ke doosre khaleefa rashid, Mohammed Sallallahu Alaihi Wasallam ke sasur aur tareekhe islam ke aham tareen shakhsiyat mein se ek hain. Umar Bin Khattab ashra mubashshira mein se hain inka shumar ulma wo zahideen sahaba mein hota hai. Ye ek ba azmat, insaaf pasand aur bahut hi aadil hukmaran they, inki adalat mein muslim aur gair muslim dono ko barabar insaaf mila karta tha.

Is post mein Inhi ke kahe huye kuch khaas aqwal aap ke samne pesh kar rahe hain, ummeed hai aap ko zaroor pasand ayeinge.

To chaliye dekhte hain ki aap Hazrat Umar ke qeemti aqwal se kya seekh sakte hain.

Top 13 Hazrat Umar Quotes in Urdu (Part 2)

Quote: #13

Hazrat Umar Quotes in Urdu

Tum jis se nafrat karte ho usse hoshiyar raho.
—Hazrat Umar

Quote: #14

Hazrat Umar Ke Aqwal e Zareen

Jis ne rab ke liye jhukna seekh liya wo hi ilm wala hai kyun ke ilm ki pehchan aajizi hai aur jahil ki pehchan takabbur hai.
—Hazrat Umar

Quote: #15

Hazrat Omar Ke Aqwale Zareen

Logon ki fikr mein apne aap ko na bhool jaao.
—Hazrat Umar

Quote: #16

Hazrat Omar Ke Aqwale Zareen

Sakhi khuda ka dost hai chaahe faasiq ho, bakheel khuda ka dushman hai chahe zaahid ho.
—Hazrat Umar

Quote: #17

Hazrat Omar Ke Aqwale Zareen

Apni ladkiyon ko badsoorat mard ke hawale na karo isliye ke tumhari pasand ki tarah unki bhi pasand hai.
—Hazrat Umar

Quote: #18

Hazrat Umar Quotes in Urdu

Gusse ke waqt insaan ke akhlaq ka sahi pata chalta hai.
—Hazrat Umar

Quote: #19

Hazrat Omar Quotes in Urdu

Aadmi ke namaz roza par na jaao balke uski sachchai aur aqal ko dekho.
—Hazrat Umar

Quote: #20

Hazrat Omar Ke Aqwal

Tama karna muflisi, begarz hona ameeri aur badla na chahna sabr hai.
—Hazrat Umar

Quote: #21

Hazrat Omar Ke Aqwal

Imaan ke baad nek biwi se badi koi neymat nahi.
—Hazrat Umar

Quote: #22

Hazrat Omar Urdu Quotes

Har shai ka ek husn hota hai aur neki ka husn ye hai ke fauran ki jaaye.
—Hazrat Umar

Quote: #23

Hazrat Omar Urdu Quotes

Jo aib se waqif kare wo dost hai aur tareef karna goya zabah karna hai.
—Hazrat Umar

Quote: #24

Hazrat Umar Quotes in Urdu

Hansne se umar kam hoti hai aur rob wa dabdaba khatm ho jaata hai.
—Hazrat Umar

Quote: #25

Hazrat Umar Quote in Urdu

Budhape se pehle jawani aur maut se pehle budhapa ganeemat shumaar karo.
—Hazrat Umar

Watch Hazrat Umar Quotes in Urdu (Part 2)

To ye they Benjamin Franklin ke qeemti aqwal – Hazrat Umar Quotes in Urdu (Part 2).

Humein ummeed hai ki aapko ye article pasand aaya hoga. Baraye meharbani is post ko apne qareebi logon ke sath bhi zaroor share karein.

Leave a Reply