Top 20 Shaikh Saadi Quotes in Urdu | Shaikh Saadi Ke Qeemti Aqwal

Is post men hum aap ke liye laaye hain Shaikh Saadi Quotes in Urdu zuban mein.

Shaikh Saadi baarhwi sadi ke ek mashhoor persian poet aur prose writer guzre hain. Inki likhi hui kitaab gulistaan aur bostaan bahut zyada mashhoor huyee hain. Darasal Shaikh Saadi apni hikmat bharee baaton se pehchane jaate hain. Unhe unke aqwal ki wajah se bahut shohrat mili. Inki kahi huyi har ek baat zindagi ke mukhtalif raazo ko khol kar rakh deti hai. Inhi ke kahe huye kuch khaas aqwal aap ke samne pesh kar rahe hain.

Chaliye dekhte hain ki aap Shaikh Saadi ke qeemti aqwal se kya seekh sakte hain.

Best 20 Shaikh Saadi Quotes in Urdu

Quote: #1

Shaikh Saadi Quote in Urdu

Apna raaz dost se bhi na kaho, khwah mukhlis ho, kya khabar ke ek din wo dushman ban jaaye. Isi tarah har wo takleef jo tum dushman ko pahuncha sakte ho na pahunchao, shayad yahi dushman ek din tumhara dost ban jaye.
—Shaikh Saadi

Quote: #2

Shaikh Saadi Quote in Urdu

Agar kisi chaupaye par chand kitabein ladi hon to isse wo na to muhaqqiq ho jata hai aur na hi danishmand.
—Shaikh Saadi

Quote: #3

Shaikh Saadi Quote in Urdu

Mushk wo hai jo apni khushboo se apna pata khud de, na ke attar bataye ke ye mushk hai.
—Shaikh Saadi

Quote: #4

Shaikh Saadi Quote in Urdu

Jis ne ilm hasil kiya aur amal na kiya wo us aadmi ki maanind hai jis ne hal chalaya aur beej na bikhera.
—Shaikh Saadi

Quote: #5

Shaikh Saadi Quote in Urdu

Jo naseehat nahi sunta uska irada malamat sunne ka hai.
—Shaikh Saadi

Quote: #6

Shaikh Saadi Quote in Urdu

Benamazi ko qarz mat do, khwah! Faaqe se uska munh khula hua hai, is liye ke jo khuda ka qarz ada nahi karta usey tere qarz ki fikr bhi na hogi.
—Shaikh Saadi

Quote: #7

Shaikh Saadi Quote in Urdu

Baadshahon ko wahi shakhs naseehat kar sakta hai jis ko na sar ka khauf ho na zar ki tamanna.
—Shaikh Saadi

Quote: #8

Shaikh Saadi Quote in Urdu

Moti agar keechad mein gir jaye to bhi qeemti hai aur gard agar aasman par bhi chadh jaye to bhi beqeemat hai.
—Shaikh Saadi

Quote: #9

Shaikh Saadi Quote in Urdu

Laalchi ke liye apna darwaza nahi kholna chahiye, agar khul gaya to phir sakhti se band na hoga.
—Shaikh Saadi

Quote: #10

Shaikh Saadi Quote in Urdu

Maal ki zakat nikalte raho isliye ke jab baagban angoor ki bekar shakein tarash deta hai to us par zyada angoor aate hain.
—Shaikh Saadi

Quote: #11

Shaikh Saadi Quote in Urdu

Kamzor par zor karna sharafat nahi hai kyun ke jo parinda chunti se daana chheene wo kamina hota hai.
—Shaikh Saadi

Quote: #12

Shaikh Saadi Quote in Urdu

Jo khuda tumhein maaldar nahi banata wo teri behtari tujh se behtar jaanta hai.
—Shaikh Saadi

Quote: #13

Shaikh Saadi Quote in Urdu

Agar tu aazad hai to bas zameen par so le, qaaleen ki lalach mein kisi ke saamne zameen bosi na kar.
—Shaikh Saadi

Quote: #14

Shaikh Saadi Quote in Urdu

Agar koi murde ki qabr khode to maaldar aur faqeer mein tameez nahi kar sakta.
—Shaikh Saadi

Quote: #15

Shaikh Saadi Quote in Urdu

Gotakhor agar magarmachh ke munh se khauf khane lage to kabhi qeemti moti hasil nahi kar sakega.
—Shaikh Saadi

Quote: #16

Shaikh Saadi Quote in Urdu

Agar chidya muttahid ho jayein to sher ki khaal kheench sakti hain.
—Shaikh Saadi

Quote: #17

Shaikh Saadi Quote in Urdu

Sher bhooka mar jaana pasand karta hai, kutte ka jhoota khana kabhi pasand nahi karta.
—Shaikh Saadi

Quote: #18

Shaikh Saadi Quote in Urdu

Agar insaan ranj o musarrat ki fiqr se buland ho jaye to aasman ki bulandi bhi uske qadmon ke neeche aa jayegi.
—Shaikh Saadi

Quote: #19

Shaikh Saadi Quote in Urdu

Agar rozi aqal se hasil ki jaati to duniya ke tamam bewaqoof bhooke mar jaate.
—Shaikh Saadi

Quote: #20

Shaikh Saadi Quote in Urdu

Sabr zindagi ke maqsad ke darwaze kholta hai kyun ke siwaye sabr ke is darwaze ki koi aur chaabi nahi hai.
—Shaikh Saadi

Watch Shaikh Saadi Quotes in Urdu

To ye they Shaikh Saadi ke qeemti aqwal – Shaikh Saadi Quotes in Urdu.

Humein ummeed hai ki aapko ye article pasand aaya hoga. Baraye meharbani is post ko apne qareebi logon ke sath bhi zaroor share karein.

Leave a Reply