14 Most Inspiring Ertugrul Ghazi Dialogues in Urdu (HD Pictures)

Is post men hum aap ke liye laaye hain Ertugrul Ghazi Quotes in Urdu zuban mein.

Ertugrul Ghazi turk ogoz ki shaakh qaayi qabeele ke sardar suleman shah ke bete aur saltanat e usmaniya ke baani usman ghazi ke walid they. Ertugrul ghazi ek bahadur, nidar, bekhauf, aqalmand, diler aur baarob sipahi they. Wo saari umar saljuq saltanat ke wafadar rahe.

Sultan Alauddin ne Ertugrul ki khidmaat se mutasir hokar inko sogot aur uske aas paas mein waqe doosre shahar bataur jaageer ataa kiye aur saath hi sardar e aala ka ohda bhi diya. Inhi ki kahi hui kuch baatein aap ke samne pesh kar rahe hain.

Chaliye dekhte hain ki aap Ertugrul Ghazi ke qeemti aqwal se kya seekh sakte hain.

14 Best Ertugrul Ghazi Dialogues in Urdu

Quote: #1

Ertugrul Ghazi Dialogues in Urdu-Hindi

Jiska koi khwab nahi uska koi mustaqbil nahi.
—Ertugrul Ghazi

Quote: #2

Ertugrul Ghazi Dialogues in Urdu-Hindi

Jab tak Allah par hamara iman pukhta hai koi hamein hamare ghutno par nahi laa sakta.
—Ertugrul Ghazi

Quote: #3

Ertugrul Ghazi Dialogues in Urdu-Hindi

Jahan insaan jata hai wahan uska rizq pehle pahunch chuka hota hai.
—Ertugrul Ghazi

Quote: #4

Ertugrul Ghazi Dialogues in Urdu-Hindi

Jab tak hum Allah ke raaste par sabit qadmi se chalte raheinge tab tak koi bhi hamein jhukane ki himmat nahi kar sakega.
—Ertugrul Ghazi

Quote: #5

Ertugrul Ghazi Dialogues in Urdu-Hindi

Bade khwabon ke liye badi qurbaniyan deni padti hain.
—Ertugrul Ghazi

Quote: #6

Ertugrul Ghazi Quotes in Urdu-Hindi

Dushman banane ke liye zaroori nahi ke aap kisi se ladayi karein bas haq aur sach bolein beshumar dushman aap ko apne khandan mein hi mil jayenge.
—Ertugrul Ghazi

Quote: #7

Ertugrul Ghazi Quotes in Urdu-Hindi

Haq ke raaste mein agar saari kaynat bhi tumhare khilaf ho to bhi tum ye yaqeen rakho ke Allah tumhare saath hai.
—Ertugrul Ghazi

Quote: #8

Ertugrul Ghazi Quotes in Urdu-Hindi

Munafiq se hamdardi dushman ki talwar se zyada khatarnak hai.
—Ertugrul Ghazi

Quote: #9

Ertugrul Ghazi Quotes in Urdu-Hindi

Zalim par rahem mazloom par zulm hai.
—Ertugrul Ghazi

Quote: #10

Ertugrul Ghazi Aqwale Zareen in Urdu-Hindi

Hamare aslaaf ki daastanein bachchon ko sulane ke liye nahi balki mardon ko jagane ke liye sunayi jaati hain.
—Ertugrul Ghazi

Quote: #11

Ertugrul Ghazi Aqwale Zarin in Urdu-Hindi

Musalman ke do hi shauq hote hain jab azaan ho jaye to masjid ki taraf daudna aur jab jang ka ailaan ho jaye to maidane jihad ki taraf daudna.
—Ertugrul Ghazi

Quote: #12

Ertugrul Ghazi Aqwale Zareen in Urdu-Hindi

Haq ki raah par chalne walon ko mera rab kabhi tanha nahi chhodega.
—Ertugrul Ghazi

Quote: #13

Ertugrul Ghazi Quotes in Urdu

Agar usool par ho to dat jao aur agar anaa par ho to peeche hat jao.
—Ertugrul Ghazi

Quote: #14

Ertugrul Ghazi Quotes in Urdu

Agar aap ka dil khalis o pakeeza hai to duniya ki koi shaitani quwwat aap ka muhasra nahi kar sakti.
—Ertugrul Ghazi

Watch Ertugrul Ghazi Dialogues in Urdu

To ye they Ertugrul Ghazi ke qeemti aqwal – Ertugrul Ghazi Quotes in Urdu.

Humein ummeed hai ki aapko ye article pasand aaya hoga. Baraye meharbani is post ko apne qareebi logon ke sath bhi zaroor share karein.

This Post Has One Comment

  1. maroof

    Awesome Quotes in this post. Keep posting such a beautiful quotes.

Leave a Reply